Teri Justju

Teri justju(talash) me bikhar jaana chahta hoon
kisi shab(raat) kahin thahar jaana chahta hoon
Chashamtar(bhigi aankhain) tera visal-e-intzaar bahut hua
tere roobaroo ab bifar(rona) jaana chahta hoon
Musafat(doori) se tera didaar bahut ho chuka
Ab to tere bahut kurab(nazdik) se guzar jaana chahta hoon
Teri khawahish dil me chhipaye ek arasa guzara
ab to tere isaq me kuchh kar jaana chahta hoon
Tujhe paana naamumkin hai ab jaan chuka hoon
Ab to tujhe nazaron me bharkar mar jaana chahta hoon..

Comments

Popular posts from this blog

When, I was a Kid

The Conscience of a Hacker

Shayari