Posts

Showing posts from October, 2010

Teri Ek Hasi Pe

Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo, Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoo, Na behne du kabhi in aakho se aansu, Tu kahe to tere saare sitam sah jaoo. Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha, Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo, Seene se laga ke rakhu tumhe, Mann to karta hai tujhme sama jau. Sunti hi rahu tumhari dhadkano ko, Aur apne dil ki har baat kah jau, Gum ko kabhi kareeb na aane du, Aur tumhe Zindage ki khushiya tamaam de jaoo

Tufaan

Dil meen kitne tufaan tabaye baitha hun,  Tere yadoon ko sene meen chupaye baitha hun, Tere suraat ko ankhon meen basaye baitha hun. Tu mile to tujhe bataun, Dil pe kitne ghaav sajayee baitha hun. Tune socha ke humne tujhe bhula diya shayad, Tu kya janee zalim, tere khushboo ko sansoon meen basaye baitha hun.

Teri Justju

Teri justju(talash) me bikhar jaana chahta hoon kisi shab(raat) kahin thahar jaana chahta hoon Chashamtar(bhigi aankhain) tera visal-e-intzaar bahut hua tere roobaroo ab bifar(rona) jaana chahta hoon Musafat(doori) se tera didaar bahut ho chuka Ab to tere bahut kurab(nazdik) se guzar jaana chahta hoon Teri khawahish dil me chhipaye ek arasa guzara ab to tere isaq me kuchh kar jaana chahta hoon Tujhe paana naamumkin hai ab jaan chuka hoon Ab to tujhe nazaron me bharkar mar jaana chahta hoon..

Mirza Ghalib

1. Koi ummeed bar naheen aatee (No hope comes my way) Koi soorat nazar naheen aate (No visage shows itself to me) 2. Maut ka ek din mu’ayyan hai (That death will come one day is definite) Neend kyon raat bhar naheeh aatee? (Then why does sleep evade me all night?) 3. Aage aatee thee haal-e-dil pe hansee (I used to laugh at the state of my heart) Ab kisee baat par naheen aatee (Now no one thing brings a smile) 4. Jaanta hoon sawaab-e-taa’at-o-zahad (Though I know the reward of religious devotion) Par tabiyat idhar naheen aatee (My attention does not settle in that direction) 5. Hai kuch ‘eisee hee baat jo chup hoon (It is for these reasons that I am quiet) Warna kya baat kar naheen aatee? (If not, would I not converse with you?) 6. Kyun na cheekhoon ki yaad karate hain (Why should I not remember you?) Meree aawaaz gar naheen aatee (Even if you cannot hear my lament) 7. Daagh-e-dil gar nazar naheen aata (You don’t see the anguish in my heart) Boo bhee ‘ei chaaraagar ! nahee...

Learnt to Live

Jeete Theh Kabhi Kisi Ke Mohabaat Ke Bina Tumne Jo Mohabaat Sikhlai To Muskurana Aa Gaya Nahi Milne Ki Koi Umeed Es Dil Ko Ki Ab Dil Ko Tere Bina Bhi Jeena Aa Gaya

Miss You !!

Usse kehna maze mai hai hum, Bas zara yaaden satati hai, Uski duri ka gum nahi mujhe, Bas zara aankhe bheeg jati hai……… . Usko Bas Itna Bata Dena, Itna Aasaan Nahi Hai Tumhe Bhula Dena, Teri Yaadein bhi Tere Jaisi hi Hain, Aati Hain Aur Baas Rula Jaate Hain